Friday, April 17, 2009

KABHI KHUDA SE MILA......

mai jab bhi sota hun....vo aksar jaga deta hai...
kabhi khuda se mila to puchunga...
agar vo khuda hai...to kyun ye saza deta hai....

kabhi khuda se mila to puchunga...
kya uski rehmat kharidni padti hai....
jo kahin holika...to kahin chita jalti hai....

kabhi khuda se mila to puchunga....
kya use dikhai nahi deta hai.....
jo baad me bhi.....vo barsat kara deta hai...

kabhi khuda se mila to puchunga....
kya dua mangne ka bhi koi sahi waqt hota hai....
jo koi akela to koi mast hota hai.....

mai to bas apna jawab chahta hun....
aur agar vo sach me khuda hai....
to ek baar ehsaas chahta hun....

No comments:

Post a Comment